iqra ar.e.vafaa, ummeed.e.karam! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
vade voh tire mubham, mubham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
sar.shaaree.e.ulfat kaa aalam! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye
jazbaat kee voh dheemee sargam kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!
aalaam kee voh yoorish peham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
Doobee huee nabzoN kaa aalam, kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!
yaadoN kee Khalish voh shaam.o.saHar, maayoos se voh deevaar.o.dar
iHsaas kee lau maddham maddham! kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!
kyaa vehm.o.gumaaN, kyaa ilm.o.yaqeeN, kyaa fikr.o.Gham.e.duniya a.o.deeN
hastee ke voh saare pech.o.Kham, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
voh sher.e.mujassam jaane.e.suKhan, her saaNs meiN yooN hai naGhma.zan
afsaana.e.Gham, roodaad.e.alam, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
kab daur.e.KhazaaN aayaa aur kab ruKhsat voh gul.e.ranaaee huaa
meHroomee.e.jaaN, majbooree.e.Gham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye
dil aise puraane paapee ko kyaa kaam hai deen.o.eemaaN se?
voh saaz.e.kaleesa, soz.e.Haram, kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!
hastee ke fasaane Khwaab hue, daryaa.e.junooN paayaab hue
aaNsoo aksar, haNsnaa kam kam! kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!
unvaan yehee Thehre Sarwar afsaana.e.hastee ke tere
yaa qalb.e.HazeeN yaa deeda.e.nam, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!