tumhari poron ka lams ab tak
meri kaf-e-dast par hai
aur mai ye sochta hoon
woh lamhay kitnay darogh-go thai
woh keh gaey thai
ke ab kay jo haath tairay haathon ko chhu gaey haiN
tamaam hontoN ke saaray lafzon se mu’tabar haiN
woh keh gaey thai
tumhari porain
jo meray haathon ko chhu rahi theeN
woh to qismat-taraash haiN
aur apni qismat ko
saaray logoN ki qismatton se buland jaano
hamaari maano
to ab kisi aur haath ko haath matt lagana
main uss samay se
tamaam haathon
woh haath bhi
jin mai phool
shaakhon se barrh ke lutf-e-namu utthaaeyn
woh haath bhi jo sada kay mehroom thai
aur un ki hathailiyaan zakham zakham theeN
aur woh haath bhi jo chiraagh jaisay thai
aur rastay mai sang farsang ki tarah jaa-bajaa gaRay thai
woh haath bhi
jin ke naakhunoN ke nishaaN
ma’soom gardanoN par misaal-e-toq-e-sitam parray thai
tamaam na-meharbaan aur meharbaan haathon se
dast-kash yuN ho raha hoon jaisay
yeh mutthiyaaN main ne khol deeN to
woh saari sachhaayyoN ke motti
musarratton ke tamaan jugnu
jo be-yaqeeni ke janglon mein
yaqeen ka raasta banaatay haiN
roshni ki lakeer ka qaafla banatay haiN
meray haathon se rooTh jaaeyn ge
phir na taaza hawa chalay gi
na koi shama-e-sada jalay gi
mai zabt aur intezaar ke iss hissaar mein mudatton raha hoon
magar jab aik shaam
aur woh patt-jhaR ki akahri shaam thi
hawa apna aakhri geet ga rahi thi
meray badan mein mera lahu khushk ho raha tha
to mutthiyaaN main ne khol deeN
aur main ne daikha
keh meray haathon mai
koi jugnu
na koi motti
hathailiyon per faqat meri naa-muraad aankhain dhari huwi theeN
aur unn mein
qismat ki sab lakeerain mari huwi theeN
_________________
No comments:
Post a Comment