Mujhay tumsay muhabbat hu gayee thee
Kay tum apnay akelay pan ka dukh lay ker
Meray rastay main aye thay
Tumhari ankh say tanhayee ka azar behta tha
To mainay tumko un cheroon ki qurbat baksh di
Aisay manazir tum pay roshan ker diye
Jin per basarat naaz kernay kay bahanay dhoondhti hay
Tumhari guftugu mayoos sannatooN ka jungle thee
So mainay tumko aisi mehfilooN main awaleeN saf main bithaya
Aisay logon say milaya
Jahan hoontooN ki junbish nujawaN qisoon main dhelti hay,
QehqahooN ki rasm chalti hay
Tumhain apni sama’at say bhe shikwa tha
Kay tum nay naghmgi kay din nahi dekhay
Herf ko awaz kay pehloo main khawabeedha nahi paya
So main bhee gungunati subh ki manind lehjoon ko
Tumharay zoaq ki mehroom khilwat main bula laya
Kayee ras gholati shameiN
Tumhari rooh main baydaar ker dalein
Magar hona wahi thaa
Ju talaq jornay waloon ka dayrena muqaddar hay
Guzishta raat tumnay mujhko baymasruf samagh ker apnay HangamooN ki janib he nazar rakhi
Lehaza abb ijazat do
Meray rastay ki janib ghoar say dekho
Wu dekho ek dermandha musafir
Meri qurbat kay liye baychain lagta hay
Tum uski aankh say tanhayee ka aazar behta dekh saktay ho
Aur uski guftugu mayoos sannatooN ka jungle hay
Issay apni sama’at say bhee shikwa hay
Mujhay iss say muhabbat hu gaye hay
_________________
No comments:
Post a Comment