Friday, April 2, 2010

hum khwaabo`N ke beyoparii thay

hum khwaabo`N ke beyoparii thay per is mien howa nuQsan bohat

kuch bakht mien dhairo`N kalak thee, kuch ab ke ghazab ka kaal para

hum raakh liye jhoolii mien aur sarr pe saho-kar khara

jab dhartii sehra sehra thee, hum darya darya roye thayy

jab haath kii rehkhaiN chup theeN aur suR sangeet mein khoye thayy

tub hum ne jeevan khetii mien kuch khwaab anokhay boye thayy

kuch khwaab sajal muskano`N ke

kuch bol bohat deewano ke

kuch lafz jinhe maani na milay

kuch geet shikasta jaaNo ke

phir apnii ghayal ankho`N se khush ho k laho chirhkaya tha

mayee mien maas khaad bharrii aur nus nus ko zakhmaya tha

aur bhool gaye pichlee rutt mein kia khoya tha kia payaa tha

har baar gagan ne wehm dya ab k barkha jab aye gii

phir beejh se konpal phootay gii aur har konpal phal laye gii

sar pe chaya chathrii ho gii aur dhoop ghatta bun jaye gii

jab fasal katti tu kia dekha kuch durd k tootay gajray thayy

kuch zakhmii khwaab thay kanto`N per, kuch khaakster se gajray thayy

ab paoN kharao`N dhool bharri aur jism pe joog ka chola haii

sub sangii saathii bhaid bharrayy, koii masha hai koii tola haii

ab ghaat na ghar, dehleez na darr

ab pas raha hai kia baba

bus tun ki ghatrii baQii haii ja ye bhee tu le ja baba

hum bastii choray jate hien tu apna Qarz chuka baba ..





_________________

No comments:

Popular Posts