Khwaabon Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien
tanhaiyon Ki Dhoop ne Chehray jala Diye
Lafzon Ke jorney Mein Ebarat Bikhar Chalii
Aaiyena dhoondney Mein Kaii Aks Kho Gaye
Aaye Na Phir wo loat Ke Aik Baar jo Gaye
wo Din, wo Waqt, wo Rut, wo mousam, wo Sarkashi
Aey Gardisht e Hayaat, Aey Raftaar e Mah o Saal
Kya Jamma Is Zameen Pe Nahien hongey Phir Kabhi ?
jo humsafar Farak Kii Daldal Mein Kho Gaye
Patay jo Girr Ke Pair Se Raston Ke kho Gaye
Kya Phir Kabhi Na loat Ke Aaye Gii wo Bahaar
Kya Phir Kabhi Na Aankh Mein Utray Gii wo Dhanak
Jis Kay Wafoor e Rang Se jhalkii hoii Hawa
Kartii hai Aaj Tak
Aik Zulf Mein Sajay hoye Phoolon Ka Intezaar
Lamhay Zamaan e Hijr Ke Phailay Kuch Is Trah
Dagay e Rawaan e dasht Ki Tamsaal ho Gaye
Is dasht e Pur Saraab Mein Bhatkay hain Kuch Is Qadar
Naqsh e Qadam Thai Jitnay Bhi Pamaal ho Gaye
Ab to Kahien Khatam ho Rasta gumaan Ka
SheeShay Mein Dil Ke Sarey Yaqeen Baal ho Gaye
Jis Waqe’ay Ne Aankh Se Cheenii Thii Meri Neend
Us Waqe’ay ko ab to Kaii Saal ho Gaye
_________________
No comments:
Post a Comment