YoonHi DosH par sanbhalay,ghani zulf kay do-shaanay
Wuhi saanwali si rangat,wuhi na’in neend waalay
Wuhi man-pasand qaamat,wuhi khush-numaa saraapa
Jo badan mein neem-khawaabi,tou lahoo mein rat-jaga sa
Kabhi pyaas ka samundar,kabhi aass ka jazeera
Wuhi mehrubaan lahja,wuhi mezubaan wateera
Tujhi shaa’iri say raghbat, ussay she’r yaad teray
Wuhi usskay bhi qareenay,jo hain khaas wassf teray
Kisi aur hi safar mein sarr-e-raah mil gai thi
Tujhay aur kyaa bataaoun,wuh teri tarah koi thi
Kisi shahr be-amaan me,main watan badarr akela
Kabhi maut ka safar tha,kabhi zindagi say khaila
Mera jism jaL raha tha,wuh ghataa ka saai’baan thi
Mein rafaqaton ka maara,wuh meri mizaaj daaN thi
Mujhay Dil say uss nay poojaa,ussay JaaN say mein nay chaha
Issi ham-rahii me akher kahin aa geya do-rahaa
Yahan Gumraahi kay amkaaN,ussay rang-o-buu ka lapka
Yahan Laghzishon ka samaaN,ussay Khushbuon nay thapka
Yahan daam thay hazaaron,yahan har taraf qafas thay
Kahin zar zameen ka dal-dal,kahin jaal thay hawas kay
Wuh fazaa ki Faakhita thii,wuh hawaa ki raaj putrii
Kisi ghaat ko na dekha kisi jheel par na utri
Phir ik shaam aesi aai,keh wuh shaam akheri thii
Koi zalzala sa aaya,koi barq sii girii thi
Ajab aandhiyaan chaliin phir,keh bikher gae dil-o-jaan
Na kahin GuL wafa tha,na charagh ahd-o-paemaaN
Wuh jahaaz utar geyaa tha,yeh jjahaaz utar raha hay
Teri aankh mein hain aansoo,mera DiL bikher raha hay
Tuu jahaan mujhay mili hay,wuh wahiin juda hui thii
Tujhay aur kyaa bataaoun,wuh teri tarah koi thi
_________________
No comments:
Post a Comment