'Hasptaal ka Kamra’
tamaam shab ki dukhan, be-kali, subuk Khwaabhii
namuud-e-sub’h ko darmaaN samajh kar kaaTii hai
ragoN meN dauRte phirte lahuu kii har aahaT
ajal girafta KhayaaloN ko aas detii hai
magar voh aaNkh jo sab dekhtii hai–hanstii hai
ufaq se sub’h kii pahlii kiran ubhartii hai
tamaam raat ki faryaad ek sukuut meN chup
tamaam shab ki dukhan, be-kalii, subuk be-Khwaabi
hariirii pardoN kii Khamosh silwatoN meN gum
jo aaNkh zinda thii Khamosh chhat ko taktii hai
magar wo aaNkh jo sab dekhtii hai–haNstii hai
namuud-e-sub’h kii zartaar roshnii ke saath
mahakte phuul dariiche se jhaaNk kar dekheN
to mez-o-dar pe kisii dard ka nishaaN na mile
ugaal-daan davaaoN ki shiishiyaaN, pankhaa
kuNvaarii maaN ka tabassum, saliib aavezaaN
har ek chiiz badastuur apnii jagah
naye mariiz kii aamad ka intizaar kare
aur ek aaNkh jo sab dekhtii hai–hanstii hai
_________________
No comments:
Post a Comment