Safar meiN hooN aur ruka kharha hooN
maiN charooN simt meiN chal raha hooN magar kahaN hooN
waheeN— jahaN surkh roshnaii ka eik qatra
kissi qalam ki kaseef nib sey gir para hai!
MaiN khud bhi shayed kissi qalam se gira howa aik surkh qarta hooN
zindgi ki jabeeN per chamakti bindiya si ban gaya hooN
magar maiN bindiya naheen hooN, shayed ke woh to taqdees ka nishaaN hai
dilooN ke dhagooN ki ik girah hai
girah jo sadiyooN meiN bananey waley rishtooN ki aashram hai
jo aaney wali tarrapti sadiyooN ki ibteda hai
girah jo junction hai patrriyooN ka, musafirooN ka
nayi naveeli rafakatooN ka, muhabbatooN ka, aaziyatooN ka
magar maiN tanha hooN — bekaraaN wussatooN meiN tanha
safaid mazi, safaid farda, safaid yeh lamha-e-ibadat
ke jis meiN koyi naheen ibarat
safaid mathey pe surkh dhabba hooN
ibteda, inteha ke dhagooN se kat chuka hooN
maiN surkh dhabba hooN
kapkapatey lateef aksooN ka silsila hooN
tamaam chehrey jo tery ander se jhanktey haiN
mery hi chehrey ki jhalkiyaaN haiN
mery hi seeney ki dharhkaneeN haiN
yeh taiz rangooN ke tund darya
jo dukh ke koh-e-garaaN se ris kar
zameeN ki banjar, udaas saltanat ko chhuu kar is aik be-ant surkh nuqtey ke behr-e-zulmaat meiN girey haiN
mery hi benaam dast-o-paa haiN!
yeh jugmagati si kehkashaaeeN jo ibteda se
khuda ki qudrat meiN qaid, bahir ko urh rahi haiN
girheN bani haiN
waheeN kharhi haiN
waheeN, jahan surkh roshnaii ka eik qatra
kissi qalam ki kaseef nib se gir para hai
woh eik qatra jo mera dil hai
jo mery aksooN ka silsila hai
jo mery honey se surhruu hai
jo meri paabasta aarzoo hai!
_________________
No comments:
Post a Comment