ek khwaab aur
khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN
tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab
aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN
tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid
mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab
jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai
kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab
aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN
ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab
dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal
aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab
sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN
maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab
pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand
No comments:
Post a Comment