Friday, April 2, 2010

Raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN aa kar

Raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN aa kar

chaand ney mujh sey kaha –

“jaag sehar aai hey

jaag is shab jo mey-khaab tera hissa thi

jaam ke lab sey tah-e-jaam utar aai hey”



aks-e-jaanaaN ko widaa kar ke utthi meri nazar

shab ke ttherey huwey paani ki siyah chaadar par

ja-bajaa raqs meiN aaney lagey chaandi ke bhaNwar

chaand ke haath se taaroN ke kaNwal gir gir kar

doobtey, teyrtey, murjhaatey rahey, khiltey rahey

raat aur subh bohat dair galey miltey rahey





_________________

No comments:

Popular Posts