Friday, April 2, 2010

Tumhari bheegti palkoon se mainay barha poocha

Tumhari bheegti palkoon se mainay barha poocha



ke dil ke kheil mein kia jeetnay walay bhee rotay hein?

wu jinki chasm-e-khudbeen aur ko deekha nahi kerti,

bhala kis dil se gham ke taar mein moti pirootay hein?



Tumhari bheegti palkoon se mainay barha poocha



Ke kia manind-e-sheesha patharoon mein baal aata hay?

asar-angaiz hay ab bhee muhabbat ka wuhi jazba,

ju aisay hoshmandoon ko bhee yun pagal banata hay?



Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha



mizaj-e-husn mein yun yak-bayak kia inkilaab aaya?

sitara daikhna aur daikh ker afsurda ho jana…

barri takheer se tumko sitaroon ka hisab aaya!!



Tumhair bheegti palkoon say mainay barha poocha



Kay terk-e-rabt se kia mujhse wehsi yaad aatay hein?

talaluq torna aasan tha tu aankh kyun numm hay… …

ana-perwar jaffa-paisha bhee yun aansoo bahatay hein?



Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha



ke jalnay aur jalanay mein bhala kia lutf aata hay??

bus ek jhooti ana kay wastay berbad hu jana??

khudi ke zua’mm mein insaan kitnay dukh uthata hay… …





_________________

No comments:

Popular Posts