Yehii gar zid tumhaari hai
chalo hum bhool jaatey heiN..!
sabhi waadey, sabhi qasmeiN
mohabbat ki sabhi rasmeiN
nahi, manzoor jo tum ko
kareiN ranjoor jo tum ko
tumhaari shaad-maani hi, azeez-az-jaan hai jab tu
tumheiN phir tokna kesa?
ziyaaN, sood ki baabat, bhala phir sochna kesa
chalo hum bhool jaatey heiN..!
mohabbat ki riyazat meiN
wafaaoN ki musaafat meiN
qadam kis ke kahaan behkey,huwi kis se kahaan larzish
basaa di jis ne ik pal meiN,humaari aankhoN meiN baarish
ke jis ki tez boondoN ne
kisi tezaab ki soorat
nishaaN-e-manzil-e-dil hi, jala dala miTa daala
magar jaaNa
kahaaN aasan hota hai?
jigar ka khoon ashkoN meiN, badalna aur bahaa dena
khas-o-khashaak chun chun kar
gharonda ik banana aur…ussi ko phir jala dena
jawaaN sapnoN ki laashoN ko
darooN-e-jaaN chuhpaa kar…muskara dena
khizaaeiN paalna khud meiN, bahaareiN baanTtey phirna
kahaaN aasaan hota hai..?
buhat mumkin hai hum bhi haar hi jaaeiN
jawaaN hai zabt jo ab tak
muqaabil ghum ke aaey..aur Dhai jaaey
aur iss meiN bhii taa’ajub kiyaa?
tumhaarey louT aaney ki..bachi ho aas jo koi
nawaaey be-zubaaN ban kar
sisak kar phir se utthey aur..tum tak bhi puhanch jaaey
so tum se ye guzaarish hai
tab ik ehsaan tum karna
palaT kar dekhna yuuN sard nazroN se
ke jo bhii aas zinda ho..
ussey yak-sar miTa dena
humeiN pathar bana dena.....
_________________
No comments:
Post a Comment