Bas gharri do gharri ko tera sath ho, is se barh kar saadat nahi chaye
Umr bhar ke liye aur ghum hain bohut, umr bhar ki rafaqat nahi chaye
Aisee gungi mohabbat ka faida jis men izhaar-e-jazbaat mumkin na ho
Jis men sach bhi na hum keh saken dhang se, aisee jhuti murawwat nahi chaye
Aise raahi ka bhi kya safar kya hizar, shoq-e-manzil to jis ko bohut ho magar
Har qadam par bhare siskiyan, cheekh uthe, raaste ki tavalat nahi chaye
Jis ko jaana nahi, jis ko parkha nahi us pe kya apne dil ki girah kholte
Kaise sach bolte us ki khidmat men hum, jis ko harf-e-sadaqat nahi chaye
Too ne kya soch kar aag men rakh diye, tere pairon ke ye phool jal jayen
Chahen ishq men shiddaten bhi magar, ye junoo'n aisee wehshat nahi chaye
Jis ko parh kar sulagne lagen chishm-o-dil, jis ko paa kar dhuwen men bikhar jayen hum
Chaye, tera khat, be-talab chaye, lekin aisee ibarat nahi chaye
Saa'aten chund ginti ki hain jeb men, kharch karna hai un ki bohut soch kar
Qarz hai mujh pe auron ki rahaten, sirf apni hi rahat nahi chaye
No comments:
Post a Comment