Meri aankhon mein umadd aaya hai dariya dil ka
Phir kaheen toot gayaa ho na kinaara dil ka
Bas mohabbat se riwaayat hai kahaani dil ki
Chaar harfon se ibaarat hai fasaana dil ka
Us ne daali he nahi bheek nazar ki or main
Liye aankhon mein reh gayaa kaasa dil ka
Saans rukti hai to phir jaan ka khayaal aata hai
Dil dharakta hai to lag jaata hai dharkaa dil ka
Isi koshish mein bohat umar ganwaa di maine
Phir bhi poora na huwaa mujh se khasaara dil ka
Meri payaab tamannaain bataati hain mujhay
Sookh jaaiy ga koi roz mein dariyaa dil ka
Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Hijr mein or he ho jaata hai lehjaa dil ka
Kiyoon na aiy dost abhi tark-a-mohabbat kar lein
Is se pehlay ke badal jaaiy iraada dil ka
Fikr-a-duniya mein mere dil ko bhullanay waalay
Teri duniya se zayaada hai asaasa dil ka
Ishq kaatay ga abhi or chataanein SAAGAR
Aqal dekhay gi abhi or tamaasha dil ka
No comments:
Post a Comment