Sun to sahi, jahan men hai tera fasana kya?
Kehti hai tujh ko khalq-e-Khuda, ghaibana kya?
Zer-e-zamee'n se ata hai go gul soz rabakuf
Qaaroo'n ne raaste men lutaya, khazana kya
Chaaron taraf se soorat jaana'n ho jalwagar
Dil saaf ho tera, tu hai ayena khana kya
Siyaad! aseer daam rag gul hai andleeb
Dikhla raha hai chup ke use daam dawana kya
Tibl-o-ilm na paas hai apne, na mulk-o-maal
Hum se khilaaf ho ke karega zamana kya
Ati hai kis tarah se mir qabz rooh ko
Dekhun to maut dhoond rahi hai bahana kya
Tirchi niga se taayir dil ho chuka shikaar
Jab teer kajj parrega, urrega nishana kya
Yun muddai hasad se na de daad, tu na de
Aatish ghazal ye tu ne kahi aashiqana kya
No comments:
Post a Comment