Honton pe kabhi un ke mera naam hi aye
Aye to sahi, bar sar-e-ilzam hi aye
Hairan hain labb basta hain, dilgeer hain ghunche
Khushbu ki zubaani tera paigham hi aye
Lamhaat mussarat hain tasawwur se gurezaa'n
Yaad aye hain jab bhi ghum-o-aalaam hi aye
Taaron se saja lenge raah-e-sheher-e-tamanna
Maqdoor nahi subha chalo shaam hi aye
Kya raah badalne ka gila humsafaron se
Jis rah se chale tere dar-o-baam hi aye
Thak haar ke bethe hain sar kooye tamanna
Kaam aye to phir jazba-e-nakaam hi aye
Baqi na rahe saakh Ada dasht-e-junoo'n ki
Dil men agar andesha-e-ajnaam hi aye
1 comment:
lushhhhhhhh
Post a Comment