Friday, December 3, 2010

Yon he baaton baaton main jub humne unka naam liya


Yon he baaton baaton main jub humne unka naam liya,
Dil ne jesay thokar khaai‚ dard ne barh kr tham liya,

Ghar se daaman jharh k nikle‚ wehshat ka samaan na poch,
Yani gard-e-raah se hamnay, rakht-e-safar ka kaam liya,

Diwaroon k Saaye Sayye‚ umar bitai diwaanay,
Muft main tanasani-e-ghum ka apne par ilzaam liya,

Raah-e-talab main chalatay chalatay‚ thaak k jab hum choorh howay,
Zulf ki thandi chaoon main baitay‚ pal do pal araam liya,

Hoont jalain yan cina sulagay‚ koi taras kab khata hai,
Jaam usi ka jisnay tabaan‚ jur’at se kuch kaam liya.

No comments:

Popular Posts