Alaam-e-rozgaar ko assa'n bana diya
Jo ghum hua use ghum-e-jaana'n bana diya
Men kamyaab-e-deed bhi mehroom-e-deed bhi
Jalwon ke izhdiham ne hairaa'n bana diya
Yun muskuraye jaan si kalliyon men parr gayi
Yun labb kusha hue ke gulistaa'n bana diya
Ae shaikh! wo baseet haqiqat hai kufr ki
Kuch qaid-o-rasam ne jise eemaa'n bana diya
Kuch aag di hawas men to tameer-e-ishq ki
Jab khaak kar diya use irfa'n bana diya
Ik barq thi zameer men fitrat ke mojzin
Aj us ko husn-o-ishq ka sama'n bana diya
Wo shorashen nizam jahan jin ke dumm se hai
Jab mukhtasir kiya unhe insa'n bana diya
Hum us nigah-e-naaz ko samjhe the neesh tar
Tum ne to muskura ke rag-e-jaa'n bana diya
Kehte hain ik fareb-e-musalsal hai zindagi
Is ko bhi waqf-e-hasrat-o-harma'n bana diya
No comments:
Post a Comment