Dilon ki our dhuwan sa dikhai deta hai
Ye sheher to mujhe jalta dikhai deta hai
Jahan ke daagh hai, yaan age dard rehta hai
Magar, ye daagh bhi jata dikhai deta hai
Pukarti hain bhare sheher ki guzargahen
Wo roz shaam ko tanha dikhai deta hai
Ye log tooti hui kashtion men sote hain
Mere makan se darya dikhai deta hai
Khizaa'n ke zard dinon ki siyaah raaton men
Kisi ka phool sa chehra dikhai deta hai
Kahin mile wo sar-e-raah to lipat jayen
Bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai
No comments:
Post a Comment