Ye nahi ke saare jahan men mujhe humsafar nahi mila
Sabhi Aitabar ke sath the koi muatabar nahi mila
Meri nabz choo ke to dekhta ke shikasta dil ki sada hai kya
Mera la-ilaaj marz na tha, koi charagar hi nahi mila
Kabhi sheher chaan liye gaye kahin khaimey taan liye gaye
Jise dekhta tha men khwaab men, mujhe wo nagar hi nahi mila
Mujhe wo makee'n hi nahi mile jinhen meri zaat se piar ho
Jise apna ghar men samajh sakoon, mujhe aisa ghar hi nahi mila
Raha muztarib mera shoq bhi, mera sajda karne ka zauq bhi
Mujhe sang-e-rah to bohut mile, tera sang-e-dar nahi mila
Sabhi apne apne giroh ke, ghum arzoo ka shikar the
Kise men dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda-war hi nahi mila
No comments:
Post a Comment