Friday, December 3, 2010

Hum par ye sakhti ki nazar hum hain faqeer rahguzar


Hum par ye sakhti ki nazar, hum hain faqeer rahguzar
Rasta kabhi roka tera Daman kabhi thama tera

Han han teri soorat haseen lekin tu itna bhi nahi
Is shakhs ke ashaar se shohra hua kya kya tera

Be-dard hansni ho to chal, kehta hai kya achi ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shayir tera, Insha tera

Kal chodhween ki raat thi, shabb bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha chaand hai, kuch ne kaha chehra tera

Hum bhi wahin maujood the, hum se bhi poocha kiye
Hum hans diye, hum chup rahe manzoor tha parda tera

Is sheher men kis se milen, hum se to chootee'n mehfilen
Har shakhs tera naam le, har shakhs deewana tera

Kooche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar
Jangal tere, parbat tere, basti teri, sehra tera

Tu ba-wafa, tu meherbaa'n, hum aur tujh se badgumaa'n
Hum ne to poocha tha zara, ye wasf kiun tehra tera

No comments:

Popular Posts