Safar men shaam dhale to ajeeb lagta hai
Ghareeb aur ziada ghareeb lagta hai
Ruton ka kya hai ye ayen bhi aur jayen bhi
Magar ye hijr to mera naseeb lagta hai
Palat ke dekha na jis ne gaye dinon ki tarha
Wo shakhs aj bhi dil ke qareeb lagta hai
Sitare tootte rehte hain aas ban ban kar
Khushi ka lamha ghumon ka naqeeb lagta hai
Diyaar-e-ghair men ab is ka kya karen Kaavish
Ke dhalti shaam ka saaya muheeb lagta hai
No comments:
Post a Comment