Agarche pekar-e-husn-e-wafa tha, wo bhi gaya
Mera shareek-e-ghazal ik diya tha, wo bhi gaya
Umeed-e-wasal to bechain mehmaa'n thi gayi
Makeen-e-dil to mera hausla tha, wo bhi gaya
Chamakte sheher men aye the qamqamon ke liye
Aur ik chiragh ke maa ne diya tha, wo bhi gaya
Phir aj chaand kahin chup gaya, magar ab ke
Wo chaand men jo koi chaand sa tha, wo bhi gaya
Wohi hua, ke churaye hue gulab ke sath
Jo apne hath men tinka uga tha, wo bhi gaya
Jamal-e-yar ke khair apne masle honge
Khayal-e-yar to kuch be-raya tha, wo bhi gaya
Lahoo ka ek hi qatra tha dil men jo Aslam
Kisi ke lutf se ansoo bana tha, wo bhi gaya
No comments:
Post a Comment