Labb khamosh se afshaa hoga
Raaz har rung men ruzwa hoga
Dil ke sehra men chali sard hawa
Abr gulzar pe barsa hoga
Tum nahi the to sar-e-baam-e-khayal
Yaad ka koi sitara hoga
Kis tawaqo pe kisi ko dekhen
Koi tum se bhi haseen kya hoga
Zeenat, halqa-e-aaghosh bano
Door bethoge to charcha hoga
Zulmat-e-shabb men bhi sharmate ho
Dard chamkega to phir kya hoga
Jis bhi fankaar ka shahkar ho tum
Us ne saddiyon tumhe socha hoga
Kis qadar karb se chattki hai kalli
Shakh se gul koi toota hoga
Umr bhar roye faqat is dhunn men
Raat bheegi to ujala hoga
Sari duniya humen pehchanti hai
Koi hum sa bhi na tanha hoga
No comments:
Post a Comment