Main Tujhse Kuch Nahi Mangti, Bas.....
Kabhi Zindagi Ki Bheed Se Alag Hokar,
Kabhi Apne Kamre Mein Tanha Ro Ke,
Kabhi Baaton Hi Baaton Mein,
Kabhi Bedhyaani Mein,
Kabhi Ek Bekarari Se,
Kabhi Kisi Dilnasheen Lehje Ke Seher Mein,
Kabhi Kisi Sooraj Ko Dubte Dekh Kar,
Kabhi Akele Fursat Mein,
Kabhi Beinteha Masroofiyat Mein,
Kabhi Kisi Khat Ko Padh Kar,
Kabhi Aayine Mein Sanwar Kar,
Kabhi Chaandni Raaton Mein,
Kabhi Bhigti Hui Barsaton Mein,
Kabhi Doston Se Milte Hue,
Kabhi Sahil Pe Chalte Hue,
Kya Tumne Ye Socha,
Ke Kyon Tujhse Wabasta Har Yaad Ko Main Aise Sambhalti Hoon,
Jaise Apni Koi Sab Se Qeemti Chiz Ko Zamane Se Chhupa Kar Rakhe,
Taake Dilko Kabhi Un Yaadonse Gaafil Na Hone Dein,
Kabhi Kabhi Tum Sochte Honge,
Ke Kitni Pagal Ladki Hai,
Jo Mere Likhe Har Khat Ko Raaton Ko Uth Uth Kar Padhti Hai,
Jo Mujhse Suni Har Baat Ek Muqaddas Nishani Ki Tarah Mehfooz Rakhti Hai,
Jo Har Us Din Ka Hisab Rakhti Hai Jab Wo Meri Awaz Sunti Hai,
Jo Har Us Lamhe Ko Zindagi Maanti Hai Jab Main Uske Paas Hota Hoon,
Jiske Saare Raste Meri Hi Manzil Ki Taraf Khatam Hote Hai,
Jiske Liye Zindagi Mere Hi Naam Mein Pewast Hokar Reh Gayi Hai,
Jo Meri Pasand Ko Aise Apnaati Hai Jaise Usne Hamesha Se Woh Chiz Chahi Ho,
Jiska Wajood Har Lamha Dua Karta Hai Meri Khushi Ke Liye,
Lekin In Sab Baaton Ke Bawajood
Main Tujhse Kuch Nahi Maangti,
Na Meri Wafaon Ka Sila
Na Mere Likhi Kisi Bhi Khat Ka Jawab,
Na Meri Mohabbat Pe Yaqeen,
Na Mere Kisi Bhi Pal Ka Hisaab,
Bas Chaho To Itna Karna,
Meri Tarah Bahtu Hi Bekarar Hoke,
Mujhe Apne Dil Ke Wo Saare Ehsaasaat Likh Dena,
Jo Tum Mere Liye Mehsoos Karte Ho,
Jo Sirf Mere Liye Hai,
Sirf Mere Liye...
No comments:
Post a Comment