Ye Kaisi Ajab Zindagi Ki Ghadi Hai,
Ke Jabse Ki Bhi Rafaqat Nahi Hai,
Koi Shakhs Unko Naya Jo Mila To,
Kaha Ke Purane Ki Aadat Nahi Hai,
Meri Aankh Bojhal Na Ho Gar To Kaise?
Koi Bojh Sehne Ki Aadat Nahi Hai,
Koi Aake Khole Meri Band Aankhein,
Mujhe Ab Jagne Ki Aadat Nahi Hai,
Koi Khalq Ki Bandagi Jo Kare Gar,
To Ye Bandagi Hai, Ibaadat Nahi Hai,
Jo Mafhoom Puchhe Koi Abd Ka To,
Kahein Ye Batane Ki Aadat Nahi Hai,
Safar Ye Kathin Hai, Bataya Tha Unko,
Unhe Sath Chalne Mein Raahat Nahi Hai,
Jo Har Pal Hamein Aazmate Rahe Ho,
Unhe Aazmane Ki Aadat Nahi Hai,
Wafa Lafz Kehte Rahe Umar Bhar Jo,
Unhe Ye Nibhaneki Aadat Nahi Hai,
Jo Tum Khelte Ho To Khelo Dilonse,
Hamein Dil Lagane Ki Aadat Nahi Hai,
Jo Kehte The Tumko Hai Sapno Mein Dekha,
Wo Kehte Hai Khwabon Ki Aadat Nahi Hai,
Kisiki Hansi Yaad Aati Hai Warna,
Hamein Muskurane Ki Aadat Nahi Hai,
Jo Dekhi Wo Aankhein, Qadam Unke Bojhal,
Kahein Humko Manzil Ki Chahat Nahi Hai,
Rahe Dasht Ke Umr Bhar Jo Musafir,
Qadam Do Qadam Ki Bhi Aadat Nahi Hai,
Naya Sheher Har Din, Naya Darr Har Ek Shab,
Dagar Puchhne Ki Bhi Haajat Nahi Hai,
Hamein Ghar Mila Bhi To Us Waqt Sajid,
Ke Jab Ghar Ko Jaane Aadat Nahi Hai...
No comments:
Post a Comment