Wednesday, July 21, 2010

Jee Raha Tha Akela Magar Ek Din Meri Khamosh Tanhaiyon Mein Koi


Jee Raha Tha Akela Magar Ek Din,
Meri Khamosh Tanhaiyon Mein Koi,
Ek Pari Jaisi Banke Nida Aa Gayi,
Har Khamoshi Ke Ehsaas Pe Chha Gayi,
Mujhse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Jee To Chaha Ke Jhat Se Main Haan Bol Dun
Phir Ye Socha Ke Maazi Ka Dar Khol Dun,
Mera Maazi Ke Jispe Kayi Daagh Hai
Maine Socha Ke Iske Andheron Ka Dar
Phir Badal Dega Uske Irade, Magar
Wo Irade To Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khudko Supurd-E-Hawa Kar Diya,
Thaam Kar Haath Uska Main Udne Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye
Waqt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Mujhse Aise Wo Kehne Lagi,
"Ye Ta'lluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Dil Tadap Sa Gaya Uski Is Baat Par
Ye Tamanna To Meri Bhi Thi Na Magar
Main Ke Jakda Hua Apne Halaat Mein
Wo Ke Majbooriyon Ki Satayi Hui,

Din Guzarte Rahe, Dono Karrate Rahe,
Aakhir Usne Achanak Kaha Ek Din,
Ke Wo Ab Se Kisi Gair Ke Naam Hai,
Ek Zara Na Yaqeen Aaya Pehle Pahel,
Jab Ye Samjha To Duniya Fanaa Ho Gayi,
Usse Puchha, Wo Iqraar-O-Ehed-E-Wafa
Kya Hue? Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?
Sunke Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhooth Tha
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Sunke Hairat Bhi Hai, Sunke Wehshat Bhi Hai,
Par Khuda Se Yehi Puchta Hoon Main Ab
Wo To Apne Piya Ki Thi, Unki Hui
Do Dilonki Magar Is Kahani Mein Main
Kis Liye, Kis Tarah Aur Kyon Aa Gaya???

No comments:

Popular Posts