Wednesday, July 21, 2010

Mera Wajood Hai Aziyaton Ki Qaid Mein


Mera Wajood Hai
Aziyaton Ki Qaid Mein,
Mera Zehen Hai,
Sochon Ki Qaid Mein,
Mujhe Hai To Bas Ek Aasra,
Meri Mann Ki Ujli Si Yaad Ka,
Main Nahi Hoon Magar Phir Bhi
Main Ek Azziyat-E-Na Tamaam
Main Ek Khamoshi-E-Benaam,
Main Ek Masti-E-Badnaam Hoon,
Hai Wajood Mera Kaanton Ke Hisaar Mein,
Badmast Masti Ke Jwar Mein,
Main Hoon Behisson Ke Diyaar Mein,
Har Pal Hoon Teri Yaad Ke Khumaar Mein,
Mujhe Chain Na Aaye Purnam Fiza,
Main Hoon Shola Ek Dehekta Hua,
Main Dukhon Ki Aag,
Main Hoon Tapi Hui
Mujhe Sard Na Kar Aur Jala
Aye "Khuda-E-Laazawal"
Rok De Is Baarish Ko,
Iski Har Boond Se Phattta Hai Aabla,
Jo Ye Baras Gayi Mere Wajood Pe,
Ye Phat Padega Lawa Numa,
Bas Ek Nazar-E-Karam Kar,
Meri Maan Ke Is "Lehed" Par,
Kar Roshan Uski "Lehad" Ko,
Kar Baaghbaan Uski Rooh Ko,
Bakhsh De Har Khata Uski,
Razi Ho Ja Usse "Gar Ranjoor" Ho,
Raahat Kada Main De Jaga,
Apne Rehem Se Use Aye "Khuda"
Hai Ek Gunehgaar Ki Ye Iltija Gar Manzoor Ho...

No comments:

Popular Posts