Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere,
Tu Kahan Hai Aye Dost Purane Mere,
Tu Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajusus Bekar,
Burg-E-Awara Ki Manind Dikhane Mere,
Shama Ki Lau Thi Ke Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat,
Der Tak Rota Raha Koi Sirhane Mere,
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Ruswayi,
Log Mujhko Hi Sunate Hai Fasane Mere,
Aaj Ki Aur Baras Beet Gaya Us Ke Bagair,
Jiske Hote Hue Hote The Zamane Mere,
Kash Tu Bhi Meri Awaz Sunta Ho,
Phir Pukara Hai Tujhe Dilki Sada Ne Mere,
Kash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Masihayi Ko,
Log Aate Hai Bahut Dilko Dukhane Mere,
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Kah Sakta,
Baat Sun Li Meri Aaj Khuda Ne Mere,
Tu Hai Kis Haal Mein Aye Zood-Faramosh Mere,
Mujhko To Chhin Liya Ahd-E-Wafa Ne Mere,
Charagar Yun To Bahut Hai Magar Aye Jaan-E-Faraz,
Juz Tere Koi Aur Zakham Na Jaane Mere...
No comments:
Post a Comment