Wednesday, July 21, 2010

Aaj Tum Hum Ko Aise Kyon Paraye Paraye Se Lagte Ho


Aaj Tum Hum Ko Aise Kyon Paraye Paraye Se Lagte Ho,
Jaise Kabhi Tum Mere Ghar Aaye Aaye Se Lagte Ho,

Maazi Ke Dareechon Mein Gaur Se Ghar Mein Dekhun To,
Tum To Mere Apne Hi Saaye Saaye Se Lagte Ho,

Khamoshi Hai Ab Galiyon Mein Aur Suna Suna Mera Man,
Shaher-E-Dil Ki Galiyon Se Jaaye Jaaye Se Lagte Ho,

Chahel Pehel Un Raaton Mein Jab Chaand Nikla Karta Tha,
Jo Gazlein Suna Karte The Bhulaye Bhulaye Se Lagte Ho,

Jab Shaam Ki Lambi Baaton Mein Jhagde Suljha Karte The,
Jo Na Suljhe Ab Tak Wo Uthaye Uthaye Se Lagte Ho,

Jin Baaton Ki Humne Mil Kar Kasmein Khoob Khayi Thi,
Unko Yaad Karke Kyon Ghabraye Ghabraye Se Lagte Ho,

Aaj Kuch Chehra Aisa Ahi Ke Dhoond Raha Hoon Wo Sada Pan,
Jo Bana-O-Singhaar Ke Pichhe Tum Chhupaye Chhupaye Se Lagte Ho,

Badal Li Hai Raahein To Is Dilko Bhi Badal Lo Tum,
Aaj Bhi Is Mein Meri Yaadein Basaye Basaye Se Lagte Ho...

No comments:

Popular Posts