Friday, August 20, 2010

Main Aur Meri Awargi


Phirtey hain kab se dar'b'drar
Ab is Nagr Ab us nagr
Ik doosrey key humsafr
Main aur Meri Awargi

Na'ashna her reh-guzr
Na meherbaan sab ki nazr
Jayee to ab jayee kidher
Main aur Meri Awargi

Ik din mili ik meh-jabeen
tan bhi haseen jaan bhi haseen
dil ney kaha hum se wohein
khwaboon ki hai manzil yehi

Phir yun hua woh kho gayee
Aur mujh ko zid si ho gayee
Layee gey us dhoondh ker
Main aur Meri Awargi

Hum bhi kabhi abaad the
aise kaha berbaad the
befiqr the azaad the
masroor the dilshad the

Woh chaal aisi chal gaya
hum bhuj gay'e dil jal gaya
nikley jala ke apna gher
Main aur Meri Awargi

Yeh dil hi tha joh seh gaya
Woh baat aisi keh gaya
Kehne ko phir kya reh gaya
Ashkoon ka derya beh gaya

Jab keh ke woh dil bher gaya
meray liye tu mar gaya
roote hain us ko raat bher
Main Aur Meri Awargi...

No comments:

Popular Posts