ankhon may basey khawab ki hai tabeer koi
gharonde izat ke dega bana ke jageer koi
chahatoon may zawal zehnon may para jaal
afsana gar sunaon na hona gulugeer koi
kuch qabil samajhte hain mohabbat ki zuban
baat to kare rok ker shamsheer koi
tareekh raqm ho gi aur zindagian khatam hongi
hai ye almia na badal sake ga phir taqdeer koi
dekh ker sochtey hain farishte bhi dunya ko ye
khuda ne to banai thi jannat se haseen tasveer koi
No comments:
Post a Comment