Friday, August 20, 2010

hum nay katii hain teri yaad mein raatien aksar


hum nay katii hain teri yaad mein raatien aksar
dil say guzrii hain sitaron kii baraatien aksar

ishq rahzan na sahii ishq kay haathon phir bhi
hum nay lut-tii hoii dekhii hain baraatien aksar

hum say aik baar bhi jeeta hai na jeetay ga koii
wo tum hum jaan kay khha laitay hain maatien aksar

un say poocho kabhi chehray bhi paray hain tum nay
jo kitaabon kii kiya kartay hain baatien aksar

hum nay un tund hawaaon mein jalay hain chiragh
jin hawaaon nay ulat dii hain bisaatien askar

aur to kon hai jo mujh ko tasalii daita
haath rakh daitii hain dil par teri yaadien aksar

haal kehna hai kisi say to mukhatib hai koii
kitni dil-chasp hua kartii hain baatien aksar

No comments:

Popular Posts