Saturday, April 17, 2010

NahiN har chaNd kisi gum shuda jannat ki talaash

NahiN har chaNd kisi gum shuda jannat ki talaash
Ek na ek Khuld-e-tarabnaak ka armaaN hai zaroor
Bazm-e-do-sheena ki hasrat to nahiN hai mujh ko
Mairy nazroN meiN koyi aur shabistaaN hai zaroor

MiT k barbaad-e-jahaaN ho k, kahiN kuchh kho k
Baat kya hai k zeyaaN ka koyi ehsaas nahiN
Kaar farma hai koyi taaza junoon-e-ta'ameer
Dil-e-muztar abhi aamaajgah-e-yaas nahiN

Taaza dam bhi huN magar phir ye taqaaza kyuN hai
Haath rakh de meray maathay pe koyi zuhra jabeeN
Aik aaGhoash-e-haseeN shauq ki mairaaj hai kya?
Kya yahi hai asar-e-naala-dil-haayey-hazeeN?

MahwashoN ka tarab aNgaiz tabassum kya hai?
Hai to sab kuchh ye magar Khwaab asar kyuN ho jaaye
Husn ki jalwa-gah-e-naaz ka afsooN tasleem
Yahi qurbaaN-gah-e-arbaab nazar kyuN ho jaaye

MaiN ne soacha tha k dushwaar hai manzil apni
Ek haseeN baazoo-e-seemeeN ka sahaara bhi to ho
Dast-e-zulmaat se aaKhir ko guzarna hai mujhay
Koyi raKhsinda o taabinda sitaara bhi to ho

Aag ko kis ne gulistaaN na banaana chaaha
Jal bujhay kitnay Khaleel, aag gulistaaN na bani
TooT jaana dar-e-zindaaN ka to dushwaar na tha
Khud ZulaiKha hi rafeeq-e-mah-e-KanaaN na bani

Ba eeN in'aam-e-wafa uf ba taqaaza-e-hayaat
Zindagi waqf Gham-e-Khaak nasheenaaN kar de
Khoon-e-dil ki koyi qeemat jo naheeN hai to na ho
Khoon-e-dil nazr-e-chaman bandi-e-dauraaN kar de

No comments:

Popular Posts