Saturday, April 17, 2010

Chhede Maine Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Kisse

Chhede Maine Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Kisse,
Gahe Gul-O-Bul Ki Hikaayat Ko Nikhara,
Gahe Kisi Shehzade Ke Afsane Sunaye,
Gahe Kya Duniya-E-Paristaan Ka Nazara,
Main Khoya Raha Jin-O-Malaik Ke Jahan Mein,
Har Lehja Agarche Mujhe Aadam Ne Pukara,

Barson Yun Hi Dil Jamii-E-Aurang Ki Khatir,
Sau Phol Khilye Kabhi Sau Zakhm Kharide,
Main Likhta Raha Hijv Bagawat Manshoon Ki,
Main Padhta Raha Qasr Nashino Ke Qaseede,
Ubhra Bhi Agar Dil Mein Koi Jazba-E-Sar Kash,
Is Khauf Se Chup Tha Ke Koi Honth Na See De,

Lekin Ye Tilismaat Bhi Taa Der Na Reh Paaye,
Aakhir Mai-O-Minaa-O-Daf-O-Chand Bhi Toote,
Yun Dast-O-Garebeen Hua Insaan-O-Khudaband,
Nakhchir To Tadpe Qafas-E-Rang Bhi Toote,
Is Kashmakash-E-Zarra-O-Anjum Bhi Fiza Mein,
Kaash-Kol To Kya Afsar-O-Aurang Bhi Toote,

Main Dekh Raha Tha Mere Yaaron Ne Badhkar,
Qaatil Ko Pukara Kabhi MuQtal Ko Sada Di,
Gahe Rasn-O-Daar Ke Aagosh Mein Jhule,
Gahe Haram-O-Dair Ki Buniyaad Hila Di,
Jis Aagse Bharpoor Tha Maahaul Ka Seena,
Wo Aag Mere Lauh-O-Qalam Ko Bhi Pila Di,

Aur Aaj Shikasta Hua Har TauQ-E-Talaayi,
Ab Funn Mera Darbaar Ki Jaagir Nahi Hai,
Ab Mera Hunar Hai Mere Jamahur Ki Daulat,
Ab Mera Junoon Kaif-E-Tazir Nahi Hai,
Ab Dil Pe Jo Guzregi To Betok Kahunga,
Ab Mere Kalam Mein Koi Zanjeer Nahi Hai...

No comments:

Popular Posts