Yun khara tha ser jhokaay mere gher jane ke baad
Laut ker mein aa gaya tha jaise mer jane
Teri zulfain bhi khulain gi daikh le gi kainaat
Zindgani ka mirra sooraj utter jane ke baad
Mere rone ka sabab poocha ye us ne soch ker
Rukh badal jaay kahin dariya na bher jane ke baad
Hasrat-e-dedar kehte hain kissi ko daikhna
Ik nazer aane se pehle ik nazer jane ke baad
Pal mein sara hi to aangun jugnoowo'n se bher gaya
Teri zulfain tere shano'n per bikher jane ke baad
Ja rahe ho ub kahan mujh ko utha ker dosto
Zindgani qaid khane mein guzzer jane ke baad
Paniyun mein kho diya hai tum ne Afzal jane kaya
Phir palat aate ho dariya par ker jane ke baad
No comments:
Post a Comment