Khulli aankhon se jub daikha to ta had-e-nazer aaya
Jo aankhain moond lee'n to phir nazer her khusk-o-ter aaya
Howa kaya jo gharay per aik dariya par ker dala
Main ik khaghaz ki kashti mein samundar par ker aaya
Hawaain khailti rehti hain akser ub bhi tinkon se
Parindah laut ker laikun na phir us shakh per aaya
Khudaya yeh bata keh kaya kami thi teri jannat mein
Keh aadam tuj ke jannat ko zamee'n per hi utter aaya
Yeh hain batain mohabbat ki wahee'n ja oontni behthi
Galli mein jis jagah per aik deewanay ka gher aaya
Najanay ye khathun itna safar kyun hai fazaoun ka
Parindah jo urra wo laut ker baibal-o-per aaya
Chalo Afzal paharon mein kahin roo posh ho jaain
Keh lashker us ki yadon ka hai dariya se guzer aaya.
No comments:
Post a Comment