Tuesday, January 4, 2011

purane bamo-dar saare, har ik kamraa purana hai



purane bamo-dar saare, har ik kamraa purana hai
humara ghar bujurgoN ke samay jaisa purana hai.

dareechoN se sadaa aaye, sehan meiN khushbooeN bikhreN
guzishtaa mausmoN ka mujh pe ye qarzaa purana hai.

naye bhi haiN purane bhi, kai qismeN haiN seene meiN
ziyada lutf hai usmeiN jo gham jitna purana hai.

khare hothoN kii manzil aaj bhi daaro-rasan hii hai
sadi badlii magar sach ke liye imzaa purana hai.

kabhi tum jaR pakaRte ho kabhi shakhoN ko ginte ho
hawaa chhookar bataa degi shajar kitna purana hai.

maraasim vaise hii qaayam haiN apne thokroN se bhi
mera rastaa, mera chalnaa, mera girnaa purana hai.

samay thehraa hua-sa hai humaare gaaoN meiN ab tak
wahi paayal, wahi chham-chham, wahi dariya purana hai.

bahut dhooNdha magar mujhko mila na phir mera bachpan
faqat ab maaN kii aaNkhoN meiN mera qashkaa purana hai.

zamaane ne adaavat ke saleeqe tak nahiN badle
wahi tera, wahi mera, wahi jhagRaa purana hai.

sanam se guftgU to aaj bhi hoti hii rehti hai
magar aksar ye lagtaa hai ki har iimaa purana hai.

kahaaN mansoob rehta hai kisi se umr bhar koii
bichhaRne waloN ka aaNkhoN meiN bas khaaqa purana hai.

lahoo meiN roshni ban kar utar jaye to kya kehne
kalaame-meer meiN shaamil jo deewaana purana hai.

No comments:

Popular Posts