Apna mat'lab sab ki Haajat par muqaddam ho gaya
Khud gharaz is daur meN har ibn e aadam ho gaya
Nafsa nafsi har taraf hai kaam aaye kis ke kaon,
Har bashar ko apna dam or apna hi gham ho gaya.
Bughz ka, keene ka, nafrat ka diloN par zang hai
Rang ulfat ka, wafaa ka pyaar ka kam ho gaya.
Kar liya sajdah khuda ko bhi jo dil meN aa gayi,
But jahaN aayaa nazar sar khud ba khud kham ho gaya.
Zakhm e dil ke dard ka iHsaas hota tha kabhi,
Dard e dil ab khud hi zakhm e dil ka marham ho gaya.
Aaj dil meN yaar ke kya Husn aaraayi ki thi,
Tha ghazab haTna nigaahoN ka wo barham ho gaya.
Girya e aHbaab meN ham hi na ho paaye shareek,
Tab huyi ham ko khabar jab ham pe maatam ho gsaya.
ChhoR do khuda ke waaste ye shae'ri,
Bas tumhaari shae'ri se naak meN dam ho gaya
No comments:
Post a Comment