Nigaah-e-naaz ka gar intiKhaab ho jaaoN
syaah zulf maiN saj kar gulaab ho jaaoN
Ho is tarah se bhi chashm-e-tamaash beeN hairaaN
Tu aik chehra bane main naqaab ho jaaoN
MaiN lams-e-dast-e-haseeN har ghaRi karooN mahsoos
Jo tairay haath rahay wo kitaab ho jaaoN
Tu misl-e-noor jo ho jaaye mun'akis mujh par
Shab-e-Chahaar daham maahtaab ho jaaoN
Mera khuloos tere dil pe mukashif ho jaaye
Har ik sawaal-e-Khafi ka jwaab ho jaaoN
DiloN maiN raah bnaata hay aarzu ka safar
MaiN is safar maiN tere ham raqaab ho jaaoN!
MaiN WARD-e-ehd-e-khizaaN, or tu shabnam-e-taaza
Jo mujh pe barso tau rashk-e-shabaab ho jaaoN
No comments:
Post a Comment