Tuesday, January 4, 2011

Na Roye Ab Kyun Keh Meray Dil Ko Teri Wafaa Per Yaqee'n Bahut Tha


Na Roye Ab Kyun Keh Meray Dil Ko Teri Wafaa Per Yaqee'n Bahut Tha
Bikhar Gaya Jis Ke Haatho'n, Guul Ko Ussi Hawaa Per Yaqee'n Bahut Tha

Yeh Kya Keh Darr Ke Bhan'war Se Ab Tum Talaash Mein Na-Khuda Ki Guum Ho
Chalay Thay Saahil Se Yaaro Jab Tum, Tumhain Khudaa Per Yaqee'n Bahut Tha

Woh Kehh Raha Tha Keh TU Dua Kar, "Kabhi Milain Na Bichharr Ke Ab Hum"
Woh Jaanta Tha Qubool HoGi, Meri Duaa Per Yaqee'n Bahut Tha

Hai Ab Yaqee'n Keh Sadaayen Dil Ki Kisi Ke Dil Tak Nahin Pohanchtie'n
Ussay Pukaara Nahin Tha Jab Tak, Har Ik Sadaa Per Yaqee'n Bahut Tha

Bahut Barasnay Ki Iss Baras Bhi, Hamaari Aankho'n Ne Baazi Jeeti
Hamain Yaqee'n Tha Inn Aansoo'o'n Per, Ussay Ghataa Per Yaqee'n Bahut Tha

Jo Baat Nikli Thi Teri Chuup Se, Shehr Ke Har Aik Ghar Mein Goonji
Hamain To Hona Tha Yun Bhi Ruswaa, Har Aashna Per Yaqee'n Bahut Tha


Payaam Koi Na Pohanchaa Uss Tak, Magar Gilaa Ab Karain Bhi Kis Se
Na Likhay Do Lafz Uss Ko Hum Ne, Hamain Sabaa Per Yaqee'n Bahut Tha

Wafaa Ki Aadat Bahut Pasand Thi, Wafaa Ki Aadat Ne Jaan Le Li
Dil-e-Hazee'n Ab Zara Bataa Tu, Kya Iss Adaa Per Yaqee'n Bahut Tha

Ussay Bhi Rasto'n Ne Poochha HoGa, "Kaha'n Pe Chhorr Aaye HamSafar Ko?"
Hamain Bhi Poochha Kaha'n Hai Woh Dil, Jissay RAZA Per Yaqee'n Bahut Tha

No comments:

Popular Posts