Kuch nahin likhna hy ab to khali mairi bayaaz rehti hai
Jee ko behlanay ke liye ab sath mairi hamsaaz rehti hai
Dil ki baat kehnay se dil ko aaram to mil hi jata hai
Per dekhna hy kab tak voh pas uskay raaz rehti hai
Ham kahan rehtay hain ye guman ham ko bhi rehta hai
Kiya bataaian ham ke aaj kal tabiyat bhi nasaaz rehti hai
Gardish e doran se dil ki dhadkanon se bhi dar lagta hai
Ham to chahtay hain aatay rahain per voh naraz rehti hai
Ab to khayal e husan ko bhi rok daiti hain hoorain
Youn bhi dunya ki runginion se tabiyat baaz rehti hai
Samad tu ne daikhay hain zindagi me badltay lamhaat
Ke kaanon mein aaj bhi voh goonjti aawaaz rehti hai
No comments:
Post a Comment