bijlee si lapaktee ho, taktay yeh samaan hum hon
palkon ki ridaa uthay, aur sirf wahaan hum hon
woh aankh uthaa dekhain, hum doob kay phir ubhrain
manzil ka nishaan gum ho , ik aisay jahaan hum hon
palkon say nazar tuk ka , lamhon main saffar tay ho
sahil say samunder ko, pal bhar main rawaan hum hon
woh sub ko bhulaa dalain. bus zikr karain meraa
lub jub bhi khulain un kay, aiy kaash bayaan hum hon
andaaz anokha hai , magroor nazar un ki
taskheer unhain kar lain, woh bankay jawaan hum hon
azhar ji chalo khud ko chahet say sajjatay hain
woh shaad rahain jis main, ik aisaa makaan hum hon
No comments:
Post a Comment