Tuesday, January 4, 2011

Ye kesi rit hai Rahi K jis main dard aisa hai



Ye kesi rit hai Rahi
K jis main dard aisa hai
K jab mehsoos hota hai
Koi humdard nahi hota
Ye kesa khail dunya ka
K jis main jit bhi jaao
Safar Aakhir nahi hota
Sama chaahay badal jaaye
Faza zarroon main dhal jaaye
Nishaan Ki maut hay naa-paid
Fazaa-ay Soog hay barpa
Khushi zindan main hay qaid

Hawaayen Saath main apnay
Hazaaron tir laati hain
Tabassum nooch leti hay
Khushi ki chooti chooti Mootiyon ko
Janay kesay khooj leti hain
haseen-o-dilnasheen pooday
Khizan K Waar sehtay hain
Sisaktay Hain, Bilaktay hain
Magar chup chaap rehtay hain
Darakhton per Udaasion ki
Jesay BAIL hay chaayi
YE KESA KHAIL HAY RAHI

Har ik chehray pe
teh dar teh
Kayi parday
Zubaan khamoosh hay sab ki
Koi aa ker dua ker day
Koi tu is sukoot-e-raftagan Ko
Toor k jaaye
Koi tu aaaye
Jo toota howa pull joor k jaye


Jidhar dekho hay maayosi
Jidhar jaao hay tanhaai
Na hi mausam suhaana hay
Na hi kalyoon main barnaai
Na hi afkaar tabinda
Na hi soochon main Raanai

Mazaar-e-Dil howa Khasta
Hay har ik nafs lab-basta
Bari mushkil main hain Maula
Tera Hi aasra hay ab
Tujhi sey maangtay hain Rab
Jahan dekhain wo daldal hay
Jahan Jaayen wahin Khaayi
YE KAISI RIT HAI RAHI

No comments:

Popular Posts