Tum bhi Khafaa ho, log bhi be-raham hain dosto
Ab ho chalaa yaqin, ke bure ham hain dosto
Kisko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
Ankhen tou dushmano ki bhi pu-nam hain dosto
Apne siva hamaare na hone ka gham kise
Apnii talaash mein to ham hi ham hain dosto
Kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
Kuch shahar ke chiraag bhi maddham ha.n dosto
Is shahar-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto
Sab kuch sahi 'Faraz' par itana zaroor hai
Duniya mein aise log bahut kam hain dosto
No comments:
Post a Comment