Shaoor-E-Zeest Se Jab HuM KalaM Hote Hai,
Fana Ke Bojh Ko HuM Aansuon Se Dhote Hai,
Khushi Ke Phool Bas Ek Pal Mein Sookh Jaate Hai,
Chalo Hayat Mein Kuch Talkhiyan Parote Hai,
HaMari Neend HaMesha Ki Neend Hoti Hai,
HuM Ahl-E-Dard To Sirf Ek Baar Sote Hai,
Zara Si Der Mein Mulk-E-AdaM Ke Sannate,
Riday Waqt Ke Saare Nishan Dhote Hai,
Wafa Ki Raah Mein Chalta Nahi Hai Saath Koi,
Kya Rone Wale HaMesha Akele Hote Hai,
Wo Ja Chuka Hai To Kya GaM Ke Sabko Jana Hai,
Hasan HuM Isliye DaMan Ko Kyon Bhigote Hai...
No comments:
Post a Comment