Akela KaMra,
Jahan KhaMoshi Thi Aur Wo Tha,
Wo Aankh Moonde Bhi To Andhera,
Jo Aankh Khole To Bhi Andhera,
Ajab KhaMoshi, Ajab Andhera,
Wo Jiska Aadi Kabhi Nahi Tha,
Wo Ek Ladka,
Jo Ab Bhi Bachpan Ki Sarhadon Mein,
Bhatak Raha Tha,
Akele KaMre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
TaMaaM KaMra, TaMaaM Chizein,
Ye Lag Raha Tha Ke Ajnabi Hai,
Syaah Shab Ne Phir Apna Jaadu
Wahan Ke Manzar Pe AazMaya,
Jo Ek Parda,
Hawa Se Khidki Pe Lehlahaata Raha Tha,
Usne
Bas EkdaM Se Hi Roop Badla,
Aur Ek Bhut Ka Roop Dhara,
Use Laga Ke
Wo Uski Janib Lapak Raha Hai,
Wo Ek Paudha
Jo Bas Wahan Par
Mehez Sajawat Ke Waaste Tha,
Use Laga Ke
Us Ek Paudhe Ne
Apni Shaakhon Ko,
Uski Jaanib Badha Diya Hai,
Ke Jaise Usko
Wo Apni Shaakhon Mein Bandh Lega,
Hawa Ki Halki Si Sarsarahat,
Use Laga Yun
Ke Chupke Chupke Se Koi,
KaMre Mein Chal Raha Hai,
Ab Uski Aankhon Mein,
Shab Ki Dehshat Thi, Bebasi Thi,
Akele KaMre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Bil-Aakhir Usne Panaah Dhoondi,
Wo Is Tarahse Ke
Sar Se Paanv Tak Lehaaf Taana,
To Uski Dharas Bandhi Zara Si,
Magar Ye Kya Ke,
Lehaaf Mein Bhi
Khayal Uska Bahut Si Shaklein,
Bana Raha Tha, Dara Raha Tha,
Wo Bekhabar Tha,
Ke Aaj Uska,
Ye Khauf Saara,
To Uske WehMon Ki Dastan Hai,
Andhera KaMra,
Ghadi Ki Tik Tik, Hawa Ki Sar Sar,
TalisM Shab Ka Urooj Par Tha,
Bechara Shab Bhar Wo So Na Paaya,
Bil-Aakhir Aaya,
PayaaM Subah Ki Roshni Ka,
Ke Raat Bhar Ki
TaMaaM Baaton Ko Yaad Karke,
Ab Usne KaMre Ko Phir Se Dekha,
Wo Raat Jaisa To Ab Nahi Tha,
Ke Thoda Thoda,
Wo Dil Hi Dil Mein,
Bechara NaadiM Sa Ho Raha Tha,
Wo Kisse Kehta
Wo Kya Batata
Ke Raat KaMre Mein Kya Hua Tha,
Wo Kya Dikhata,
Ke Ab To KaMra Bhi Raat Jaisa,
Nahi Raha Tha,
Ajeeb Sochon Mein Uljha Uljha,
Badi KhaMoshi Ke Sath Utha,
Aur Apne KaMre Se
Sar Jhukaye Nikal Gaya Wo...
No comments:
Post a Comment