yeh chaahat bhi ajab si hoti hai
kuch na hotay huway bhi sab kuch hoti hai
rang birangi kaanch ki chooriyon si hoti hai
pehan lo to shokh khanak
toot jaaye to ik chubhan si hoti hai
phool par thehri shabnam si hoti hai
saja kay ik ik patti
phisalti hui saath chor saa deti hai
fiza mein phaili khusboo si hoti hai
pal bhar ko apni
phir door faasilon mein phaili si hoti hai
badaltay mausam taiz hawaaon si hoti hai
khilay to bahaar jaisay
rukh badlay to khizaan si hoti hai
yeh chaahat bhi ajab si hoti hai
kuch na hotay huway bhi sab kuch hoti hai
No comments:
Post a Comment