shaam roz aa jati hai meray darwazay par
meri tanhaye ka tamasha dekhnay kay liye
sooraj roz nikal aata hai
mujhay umeed dikhanay ko
chaand bhi pandra bees dinon tak jhalak dikhata hai
aatay jatay mousam jessay
waswasay or khouf bhi aatay hain
andhera bhi bisaat bhar darata hai
zindagi bhi door khari hunsti hai
kal barish nay bhi darawa diya kabhi na barasnay ka
khizaa;n kay pattay bhi ruswayion say daranay lagay
barf taknay apni sard banhon main panah denay ko kaha
sabhi aaye bari bari
sirf tum nahin aaye
No comments:
Post a Comment