Kuch Dard Liye Iss Duniyaa Main Rehta Parhtha Hay
Roz Jeena Parhtha Hay Roz Marnaa Parhthaa Hay
Aagahi Kay Azaab Kay Saath Guzarti Hay Zindagi To
Iss Karb-e-Musalsal ko Hamesha Sehna Parhtha Hay
Agarchey Nafs Ki Ghulaami Say Azaad Hobhi Jaye Bashar
Phir Bhi Zarooraton Kay Jehad Ko Larna Parhtha Hay
Bohat Unwaanon Say Ibarat Hotey Hain Iss Jahan Kay Gham
Har Chand Kay Khushi Kay Nisaab Ko Bhi Parhna Parhtha Hay
Iss Umer-e-Raigaan Kay Haadsaat Say Ham Sambhal Hi Gaye
Maslehat Kay Tehat Hi Sahi Yah Kaam Bhi Karna Parhtha Hay
Katthin Aur Dushwaar Raaston Per Chal Kar Milta Hay Wasl
Uskay Liye Hijr Ki PurKhaar raah Say Guzarnaa Parhtha Hay
Saba Taluqaat Jab Banney Lagey Rooh Ka Azaab
Inn Saarey Taluqaat say Phir Mukarna Parhtha Hay
No comments:
Post a Comment